Monday, February 06, 2006

Hindustani main ek ghazal

Zard roshni, ujla aasmaan; raat bhar neend kidhar aati hai?
Der saver hi sahi, chithdon main hi, magar aati hai.

Saari sadken ab keval one way, flyoveron ke saaye main
Is sheher ke chhupe raazon ko ab kaun dagar jaati hai?

Bus mein virah ka sticker poochta hai ‘Ghar kab aaoge?’
Usse kehna Blue Line me naa aaye, agar aati hai.

Mere padosiyon ka naam tak mujhe nahin maloom
Hollywood me bewafaiyon ki par roz khabar aati hai.

Sadak paar, hijde ki khoobsoorat aankhon ka ishara
Shareefon ko na karne main bhi sharam magar aati hai

Sheher ek tapti bhatti hai, pak rahe hain gusse
In laakhon bechainiyon ki bhaap kidhar jaati hai?

Dasht e Tanhai main dhoondte hain Aab-e-Hayat
Sahab ko pyaas bhi ek samandar nazar aati hai.
Listed on BlogShares